Xiaomi ne officially HyperOS 3 launch kar diya hai aur saath hi multiple system apps ke naye updates bhi rollout kiye jaa rhe hain. Inhi me ek major update hai Gallery App Update, jisme naye features, customization options aur smooth animations dekhne ko milte hain.
👉 Agar aapko Gallery App ka latest APK file download karna hai, to wo hamare Telegram Channel – Technical Ravi Official par available hai.
HyperOS 1 vs HyperOS 2 Gallery App
- HyperOS 1 Gallery
- Basic aur simple interface
- Limited customization options
- Delete aur settings features basic level par hi the
HyperOS 2 Gallery
- Thoda refined design
- “More” aur “Customization” options add kiye gaye hai
- Delete aur folder options better organized ho gaye
HyperOS 2 ne experience ko improve kiya tha, lekin ab HyperOS 3 Gallery aur zyada advanced aur smooth user experience deta hai.
HyperOS 3 Gallery App New Features
- Pin Albums Option – Important albums ko top par pin kar sakte ho
- People, Journey & Memories Tabs – AI-based photo categorization ka option dekhne ke liye milta hai
- Map Integration – Photos ko location ke base par map me show karta hai jo shuruwat me screen lock hone ke bad automatic add ho jata hai
- Built-in Video Editor – Slideshow, templates aur custom audio add karne ka option diya hua hai
- Smooth Animations – Folder open/close aur swipe up krne par uper ke side me dark mode swipe animations kaafi fluid feel dete hain
- Advanced Settings & Filters – Group by date/impact, folder customization, documents aur selfies ke liye alag sections milta hai
My Experience with HyperOS 3 Gallery
Maine personally HyperOS 3 Gallery App use kiya hai aur honestly mujhe kaafi smooth aur responsive laga. Animations ekdum modern aur premium feel dete hain. Sabse useful features mujhe lage.
Ek important bat mene Hyperos 1 aur 2 dono me use Kiya lekin hyperos 2 me bahut achhe se work krta hai wahi par Hyperos 1 me bhi achha work krta hai lekin kabhi kabhi lag dekhne ko milti hai isliye aap Hyperos 2 me use kroge to beat rhega.
- Gallery ke andar hi built-in video editor
- Location-based categorization jo travel photos ke liye perfect hai
- Albums pin karne ka option aur Memories tab
Overall, HyperOS 3 Gallery purane versions se ekdum zyada polished aur user-friendly hai.
Q&A – HyperOS 3 Gallery Update
Q1. Kya HyperOS 3 Gallery App HyperOS 1 aur 2 devices me install ho sakta hai?
Yes, APK file install karke aap use kar sakte ho.
Q2. Kya HyperOS 3 Gallery me video editor built-in hai?
Haan, ab Gallery app ke andar hi video editor available hai with templates and music options.
Q3. HyperOS 3 Gallery me sabse bada naya feature kya hai?
Smooth animations, album pinning, map categorization aur AI-based Memories section.
Q4. Kya Redmi aur POCO devices ke liye bhi ye update available hai?
Bilkul, Redmi, Xiaomi aur POCO ke devices par ye update gradually rollout ho raha hai.
Conclusion
HyperOS 1 aur 2 ke comparison me, HyperOS 3 Gallery App ekdum fresh aur advanced experience deta hai. Smooth UI, built-in video editor aur location-based categorization jaise naye features kaafi impressive hain.
Agar aap bhi isko try karna chahte ho, to APK file download karne ke liye hamara Telegram Channel – Technical Ravi Official join karein.
Aur agar aapko iska full Information aur comparison video dekhna hai, to hamara YouTube Channel – Technical Ravi Official visit karein. Waha maine is update ka complete details video upload kiya hai.
0 Comments