31 Xiaomi Phones Ko Android 16 Update Nahi Milega – HyperOS 3 Hi Final Update Rahega

 

31 Xiaomi, Redmi aur POCO Phones HyperOS 3 Final Update List – Android 16 Support Nahi Milega

Xiaomi ke fans ke liye ek badi khabar aayi hai. Company ne officially confirm kiya hai ki 31 Xiaomi, Redmi aur POCO phones ko Android 16 update nahi milegi. Ye phones ke liye HyperOS 3 (Android 15 based) hi unka last major update hoga. Matlab agar aap in devices ka use kar rahe hai to aapko Android 16 ka update dekhne ko nhi milegi aur aap Android 16 Update ka maza nahi le payenge.

Yeh move Xiaomi ke liye naya nahi hai – sabhi smartphone brand apne phones ko ek limited time tak hi update dete hai. jaise Samsung, OnePlus, Realme ye sabhi brands ka yehi rule hai. Isliye isko Xiaomi ki kami nahi bola jaa sakta.


Kyun Nahi Milega Android 16 Update?

Smartphone companies usually 2 se 3 saal tak hi major Android updates provide karti hain. Uske baad focus nayi generation ke phones par hota hai.

  • Hardware Limitations – Purane processors naye Android versions ke liye optimized nahi hote.
  • Development Cost – Har purane phone ko update dena company ke liye possible nahi hota.
  • Focus on New Devices – Companies chahte hain ki users naye phones kharide jisme latest features ho.

Isi wajah se Xiaomi ne ye 31 devices ko Android 16 se exclude kar diya hai.


POCO Devices Jinko Android 16 Nahi Milega

POCO lovers ke liye thoda disappointing news hai. Ye devices HyperOS 3 ke baad major update nahi paayenge:

  • POCO C65
  • POCO F5 5G
  • POCO F5 Pro
  • POCO M6 Pro
  • POCO X6 Neo


Redmi Devices – Update Cycle End

Redmi Standard Series

  • Redmi 12
  • Redmi 12 5G
  • Redmi 13C
  • Redmi 13C 5G
  • Redmi 13R

Redmi K Series

  • Redmi K50 Ultra
  • Redmi K60

Redmi Note 12 Series

  • Redmi Note 12 4G
  • Redmi Note 12 NFC 4G
  • Redmi Note 12R
  • Redmi Note 12S
  • Redmi Note 12T Pro
  • Redmi Note 12 Turbo

Redmi Note 13 Series

  • Redmi Note 13 4G
  • Redmi Note 13 4G NFC
  • Redmi Note 13 5G
  • Redmi Note 13R Pro

Xiaomi Flagships – Jaha Update Yahin Pe Ruk Jayega

  • Xiaomi 12 Series
  • Xiaomi 12
  • Xiaomi 12 Pro
  • Xiaomi 12S
  • Xiaomi 12S Pro
  • Xiaomi 12S Ultra
  • Xiaomi 12T Series
  • Xiaomi 12T
  • Xiaomi 12T Pro

Other Flagships

  • Xiaomi Civi 3
  • Xiaomi MIX FOLD 2


HyperOS 3 Me – Kya Kya Naya Milega Android 16 Ke Bina?

Aap ye soch rahe honge ki agar Android 16 nahi aayega to naya kya milega? Don’t worry, HyperOS 3 ek major upgrade hai jo Android 15 par based hai. Isme aapko milenge jiski list aapko niche dekhne ko milegi:

Liquid Glass UI – iPhone style smooth aur glossy look dekhne ko milega

New Control Center Editor – apne phone ko aur zyada customize kar paoge jo ek new animation ke sath dekhne ko milegi

Performance Boost – lag kam hoga aur battery zyada chalegi

Security Improvements – privacy aur data protection better kiya gaya hai

Fresh Animations & Icons – ekdum modern feel and apps icons ek alag tarike ka rhega

Note:- agar aap ye sabhi chije dekhna chahte hai to to hamare telegram channel Technical Ravi Official ya fir YouTube channel pe jaye.

Xiaomi ka plan hai ki HyperOS 3 ka rollout September 2025 se start hoga aur phase-wise sabhi eligible devices tak pahunchayega.

Agar aap Hyperos 3 beta update devices list dekhna chahte hai to niche wala page open kren.


Difference Between HyperOS 3 & Android 16

  • Android 16 ek full Google update hai jo Pixel phones ke sath launch hoga, jabki
  • HyperOS 3 Xiaomi ka apna custom skin hai jo Android 15 par based hai.

Matlab agar aapke phone me HyperOS 3 aa raha hai, to aapko design aur features me naye options milenge – lekin Android 16 ka direct experience nahi milega.


FAQs – Jyada puchhe jane bale Aapke Sawal, Hamare Jawab

Q1. Mera phone ko Android 16 milega ya nahi?

👉 Agar upar wali list me hai to Android 16 nahi milega. Bas HyperOS 3 final update hi milegi.

Q2. Kya security updates milenge?

👉 Haan, Xiaomi kuchh time tak security patches provide karega, par naye Android features nahi milenge.

Q3. Kya mujhe phone change karna chahiye?

👉 Agar aapko long-term Android updates chahiye to haan, otherwise HyperOS 3 bhi ekdum stable aur smooth rahega.

Q4. Update check kaise karein?

👉 Settings → About Phone → Software Update me jaakar check kar sakte ho.


Conclusion

Xiaomi ne clearly bata diya hai ki 31 phones ka Android journey Android 15 tak hi limited hai. In sabhi devices ke liye HyperOS 3 final major update hoga.

Ye ek normal process hai jo har smartphone company follow karti hai. To agar aap listed devices use kar rahe ho, to HyperOS 3 enjoy karo bina tension ke. Lekin agar aapko Android 16 aur uske baad ke updates chahiye, to naya Xiaomi, Redmi ya POCO phone lena better option hoga.


📢 Stay Connected with Technical Ravi Official

👉 Latest Xiaomi/Redmi/POCO updates ke liye YouTube par search kare – Technical Ravi Official aur channel ko subscribe kare.

👉 Telegram par Technical Ravi Official join karke update files, wallpapers aur tips free me paaye.

👉 Instagram par bhi follow kare Technical Ravi Official for daily tech reels & news.

Post a Comment

0 Comments